WhatsApp Jaisa App Kaise Banaye

WhatsApp Jaisa App Kaise Banaye 

Doston Kya Aapne Kabhi Socha Hai Ki Whatsapp Jesa App ko, Aap Khud Bhi Bana Sakte Hai Aur Woh Bhi 10 Minute Ke Andar, Aap Soch Rahe Honge Ki Kya Mazak Kar Raha Hai yeh! Lekin Me aapko batadu ki me Bilkul Bhi Mazak Nehi Kar Raha Aur Nahi Me Mazak Karneka Mood Me Hun. Yeh post khattam hone tak Aapka khudka App ready hoga, Yeh mera vada hai. 
Aaj Me Aapko Whatsapp Jaisa Hin App Banana Sikhaunga Woh Bi 10 Minute Ke Andar Aur Iske Liye Aapko Computer Ka Sirf Basic Knowledge Hona Avashak Hai. Koi Bhi Professional Skills Ka Zarurat Nehi Hai. Haalaki Whatsapp Ko Develop Kiya Gaya Hai Android Studio Me Joki Har Professional App Banwane Ka Software Hai. Android Studio Chalane Ke Liye Aapko; Java, Xml, Kotlin, Javascript Aur Bhi Bohot Saari Computer Languages Ka Skills Hona Zaruri Hai Lekin Ghabraiye Nehi Kyunki Hum Android Studio Se Nehi Kahin Aur Se App Banayenge. 

Watch A Quick Video About Making An App Like Whatsapp

Aajki Date Me Whatsapp Jaisa App Banana Bohot Hi Asaan Bangaya Hai, Aur Aapko Internet Me Esi Bohot Si Site Milenge Jahan Pe Aap Sirf Whatsapp Jesa App Hi Nehi Balka Har Prakar Ka App Bana Sakto Ho Par Fil-haal Aajke Is Post Me, Me Aapko Bataunge Ek Esa Site Jiske Madat Se Aap Professional Looking Apps Bana Sakte Ho Same To Same Whatsapp Ko Tarah ya phir kisibhi prakar ka apps jaise aap chaho. 




Doston, jis site ke bare me, me aapko batane jaa raha hu us site ka naam hai AppsGeyser. AppsGeyser ek free web platform hai jo aapko different category ki apps asaanni se banane mein me madat karti hai aur saathi yeh site aapko kuch bhi paise charge nehi karta hai, yaha pe aap jitna chaho utna apps bana sakte hai aur yeh lifetime free hai. Wese toh aapko bohot saare website mil jayenge app banane ke liye par zyadatar website aapko paise charge karti hai lekin yeh website aapko ek paisa bhi charge nehi karti ha joki ek is website ka ek positive advantage hai. 

  • Appsgeyser January 25th, 2011 Ko Officially Launched Huwa Hai
  • April 14th, 2011 Tak Iske 10 Lakh Se Zyada Users Ban Chuke Hai 
  • June 2nd, 2011 Tak 29,000 Se Zyada Apps Ban Chuke Hai Appsgeyser Me
  • June 4th, 2012 Tak 50 Lakh Iske Users Jud Chuke Hai
  • 500,000 Se Zyada Apps Bank Chuke Hai July 2013 Tak 

      Chaliye Shuru Karte Hai; 

      Step 1

      Sabse Pehele Aapko Jaana Hoga Is Website Me: Appsgeyser
      Uske Baad Aapko Is Website Me Register Karna Hoga, Register Karne Ke Liye Left Side Sabse Upar Aapko Login Ka Option Dikhai Dega Waha Pe Click Kare Uske Baad Ek Popup Open Hoga Jahan Pe Aap Apne Google Account, Facebook Ya Phir Apne Email Id Se Apna Account Khulwa Sakte Hai. 


      Step 2

      Jese Hi Aapka Account Create Hojaye Aapko Left Side Ekdum Upar "Create App" Ka Option Dikhaai Dega Waha Pe Click Kare Uske Baad Aapko App Category Chunna Hoga Jese Ki Aapko Niche Image Me Dikhaai De Raha Hai "Messanger" Waha Pe Click Kare.
      Step 3

      Jese Hi Aap Messenger Pe Click Karte Hai Uske Baad Aapko Dusra Page Open Hoga Jaha Pe Aapko "Create Now For Free" Pe Click Karna Hoga, Uske Baad Appko "Next" Ka Button Pe Click Karna Hoga. Jese Hi Aap "Next Button" Pe Click Karenge "Templete Description" Ka Option Khuega, Aapko Waha Pe Kuch Bhi Ched-khanli Nehi Karna Hai, Sirf Aur Sirf Aapko Backgroud Image Upload Karna Hai Uske Baad Aapko Sida Niche Scrool Karke "Next" Button Pe Click Karna Hai.
       

      Step 4

      Ab Aapko App Ka Naam Bharna Hoga Niche Box Me, Niche Box Me Apna App Ka Naam Bharke "Next Button" Pe Click Kar Dijiyega.
       
      Step 5

      Jese Hi Aap "Next" Click  Karte Hai Description Box Khulega, Usey Khali Chodke Next Pe Click Kijiyega Uske Baad Icon Choose Karne Ke Liye Kaha Jayega. Aapko Jobhi Icon Sahi Lagta Hai Woh Chun Lijiye Aur Next Pe Click Kijiye, Ab Jese Ki Aap Dekh Sakte Hai Ki Saara Details Complete Ho Chuka Hai Aur Ab Finally Create Ka Option Dikhaai De Raha Hai "Create" Pe Click Kar Lijiye. 

      Step 6

      Jese Hi Aap "Create" Button Pe Click Karte Hai Dusra Page Open Hoga Jaha Pe Aapko "Save App" Pe Click Karna Hoga Uske Baad Ekdum Niche Scrool Kijiyega, Waha Pe Aapko "Download" Option Dikhaai Dega Waha Pe Click Kijiyega, Aapka App Download Hona Shuru Hojayega. 


      Toh Doston! Jeseki Aapka App Download Hochuka Hai. Toh Thaa Na Bohot Hi Asaaan Is App Ko Banana. 

      Comment Me Zaroor Bataye Ki Aapko Yeh Post Kesa Laga. 

      Watch a Quick Tutorial about "How to make an app like Whatsapp"




      Other Post

      Post a Comment

      0 Comments