Kankhajura Ke Katne par Kya Kare | Techie Raj



Kankhajura Ke Katne par Kya Kare


Kankhajura ko English me Centipede kehete hai. Kankhajura ke katne se uske vish ke duara aapko dard hota hai aur jis jaage pe usne kaata hai wahape sujan hoti hai aur bhi bohot saari iski pratikriya hoti hai aapke sharir me. Bahumat rup mein Iske kaatne se Kisiki jaan toh nehi jaati hai par chote bach-che ke liye yeh jaan lewa bhi sabit ho sakti hai. 
Centipede ke kaatne ka itihaas dekha jaaye toh, Iska vish bohot hi saral (straightforward) rupme kaam karti hai, katneke turant iske pratikriya hoti hai aur katne walon ko turant pata chal jata hai. 

Kankhajura Ke Katne Par Aapko Hosakta Hai:
  • Kathor dard, joki aamtaur pe Kankhajura ke akaar pe nirbhar hoti hai
  • Chamre ko Sujan aur Laal bana deti hai. 
  • Chamre Gal Jaana 
  • Sardard Hona
  • Heartbeat ka Aniyamit hona
  • Ulti Hona
  • Chintit Hona
  • Khujlee Hona

Yedi Koi Bada Kankhajura kisi Bach-che, buzurg aur koi esa viakti jiska dil kamjor hai in-logon ko kaat-ta hai toh, iske kaatne par heart attack bhi ho sakti hai par sahi time me aap ilaaj karte ho toh aapko heart attack se darne ki koi zarurat nehi hai. 


Kankhajura Ke Katneka Ilaaj 

Iske kaatne ke turant baad aap thande paani se us jage ko bighake rakhiye, esa karne par aapko dard kam hoga. Yedi aapko zyada dard nehi ho raha hai toh aap ice ka bhi istamaal kar sakte ho. Esa karne par iske vish blood vessels par nehi phelta hai. Ice lagane par aapko bohot rahat milega par sirf ice ke duara iske vish puri roop se nehi hatega. Yedi aapka dard phirbi nehi ruk raha hai toh aap chaho toh ek pain killer kha-sakte ho jiske chalte aapko thoda rahat milega. 

Iske kaatne par aapko ek baar Hospital jaake urine test aur blood test karna avashak hai taaki aapko pata chale ki aapka muscle tissue sahi hai ya nehi. 

Toh Doston! Mene aapko yahan pe bataya ki Kankhajura ke kaatne se aapko turant kya karna hai par dhyan rahe ki aapko full treatment leneke liye aapko ekbaar Hospital Jaake Check-up zaroor karna hoga aur Doctor ka Prescription leke dava khana hoga. 


Post a Comment

0 Comments