How to Activate Central Bank of India Internet Banking Online | Techie Raj

   
How to Activate Central Bank of India Internet Banking Online



Namaskar Doston! Swagat Karta Hu aap sabhi ko Techie Raj ke is Blog post mein, jahan pe mein aapko bataunga ki kaise aap apne Central Bank of India ka Internet Banking ko online activate karwa sakte hai. Doston! aaj ki date mein online kaam karna kitna asaan ban gaya hai, Ghar baithe sab-kuch online kar sakte hai. Ek zamana tha jab hume Bank ke saare kaam karwane ke liye bank visit karna padta tha par aaj lag-bhag 90% bank work hum online kar sakte hai aur isi online ke dauraan mein aaj aapko bataunga ki AP kaise apne Central Bank of India ke Internet Banking ko online activate karwa sakte hai. 


Doston, Lagbhag har Internet Banking Activation ka process same hota hai aur kuch
anuvarya documents joki aapke paas hona anuvarya hai jese ki; CIF No, Registered Mobile Number. Yedi aapke paas CIF No hai aur aapka Mobile number apke bank mein registered hai toh aap is post ko continue kar sakte hai varna aap jaake apne bank visit karke Bank Executive se apna details prapt kar sakte hai. 


Chaliye Shuru karte hai: 

Aap sabse pehele Central Bank of India Ka official website visit kar lijiye uske baad niche ka procedure ko follow kijiye. Yaha Click kijiye Website visit karne ke liye.



STEP 1

       Upar diye gaye link ko click karne ke baad aapko is page pe redirect kiya jayega jahan pe aapko "Online Password" pe click karna hoga.




STEP 2

Jese hin aap "Online Password" pe click karte hai toh yeh page open hoga jaha pe aapko apna CIF No aur Registered Mobile number enter karna hoga, Cif number aapke Bank ke paasbook mein rehta hai, waha se aap dekh sakte ho. CIF No aur Registered Mobile number bharne ke baad "Generate" pe click kijiye. Please note kijiyega ki aapka Cif number hin User id hai toh User id mein apna Cif number bhariyega. 



STEP 3
Jese hin aap "Generate button" pe click karte hai, yeh page open hoga jahan pe red color mein ek message dikhai padega jahan pe aapko bataya jaa raha hai ki aapke registered mobile number pe aapka login password sent kar diya hai. ab niche "Reset" button pe click karlijiye. 




STEP 4
Jese hin upar dikhaye gaye image mein "Reset" button pe click karte hai aapko yeh page open hoga jahan pe aapko naya password banwana hoga. Current password pe aapko jo password apke registered mobile number pe mila tha woh bhar dijiye uske baad new password mien ek naya password banake bhar dijiye, dhyan rahe ki password Alpha, Numaric aur Special charactor hona chahiye jeseki: Ilove@123 aur isi prakar koibhi password aap bana sakte hai. Password bharne ke baad niche diye gaye "Submit" button pe click kijiye. 



STEP 5
Jese hin aap upar diye gaye Submit button ko click karte hai aapko yeh page khulega jaha pe aapko bataya jaata hai ki aapke password change ho chuka hai aur ab aapka internet banking activate ho chuka hai, Ab aapko login page mein jaake aapke CIF number aur aapke password bhar ke aap Internet Banking Access kar sakte ho.